Batao kaha milega shyaam !
Charan paduka lekar sab se pooch rhe Raskhaan
Batao kaha milega shyaam
Wo nanha sa balak hai,Sanvali si surat hai
Baal ghunghrale uske,Pahnta mor mukut hai
Nayan uske kajrare,Haath nanhe se pyaare
Baandeh paiganiya pag mein,Bade dil kash hai nazare
Ghayal kar deti hai dil ko,uski ek muskan
Batao kaha milega shyaam!!
Samajh mein aaya jiska pata tu pooch raha hai
Wo hai banke bihari,jise tu dundh raha hai
Kahin wo shyaam kahata,kahin wo krishna murari
Koi sawariya kahta,koi ghowardhan dhaari
Naam hazaron hi hai uske kai jahgah mein dhaam
Batao kaha milega shyaam!!
Mujhe na roko bhai,meri samjho majburi
Shyaam se milne de do,bahut hai kaam jaruri
Shidiyon pe mandir ke daal kar apna dera
Kabhi toh ghar ke bahar aayega shyaam mera
Intazar karte karte hi subah se ho gyi shaam
Batao kaha milega shyaa!!
Jaag kar raat bitai bhor hone ko aayi
Tabhi uske kaano mein aahat si aayi
Wo aage piche dekhe,wo dekhe daye baye
Wo chaaron or hi dekhe,Nazar koi na aaye
Jhuki nazar toh kadmo mein hi baitha nanha shyaam
Batao kaha milega shyaam!!
Kushi se gadgad hokar god mein usse uthaya
Laga kar ke sine se bahut hi pyaar lutaya
Paduka pahnane ko paav jaise hi uthaya
Nazara aisa dekha kaleja muah ko aaya
Kanten chubah chubah kar ke ghyal hue the nanhe paav
Patao kaha milega shyaam!!
Kabhar dete toh kudh hi tumhare paas main aata
Na itne chaale padte na chubhta itna kanta
Chvi jaisi tu meri basa ke dil mein laya
Usi hi roop mein tumse yahan main milne aaya
Gokul se main paidal aaya tere liye brizdhaam
Bahv ke bhookhe hai bhagwaan...
Shyaam ki baatein sunkar kavi wo hua deevana
Kaha mujhko bhi de do apne charno meim tikhana
Tu malik hai duniya ka yah maine jaan liya hai
Likhunga pad tere aaj se thaan liya hai
Shyaam prem ras barsa,Sonu khaan bana Raskhaan
Bhaav ke bhookhe hai bhagwaan...
Kanton par chal kar rakthe apne bhagat ka maan!
Bhaav ke bhookhe hai bhagwaan!!!
0 comments:
Did you like these bhajans ? Write here few lines..